बुधवार, 11 फ़रवरी 2015

Kya vakai sarkar gareebo ki bhi utni hai jitni ameero ki ?

Dilli ki Tej-tarrar sadak pe bhagti- daudti gaadiyon ko uske upar bane bypass pe khade hoke niche se gujarti car, buso, chaaro taraf khade pathar k mehlo, gharo ko dekhna bada hi romaanchit karta hai. Ek ehsaas deta hai k hum vakai vikaas ki raah per hain, par vahin doosri aur sadak k footpath k upar se gujarte logo ki bheed me, zindagi k kayi padav dekh chuki ek bujurg mahila dikhai deti hai. Gehuan sa rang, jo dhoop se bachne k liye peepal k ped ki thodi si girti chhaav me bethi h, aur kuch bhutte liye hue hai, kuch chhiley-kuch bina chhiley. Vahin kuch koyle (कोयले ) se aag jala rakhi hai, jinme kuch bhutto ko bhoon kar, vo kuch rupiye-paise kama leti hai, bs apni roj ki jarurato ko pura karne k liye, Aur jarurate bhala kya-  2 waqt ki roti, jhopdi ka kiraya, tan dhakne ko kapde, pyaas bujhaane ko paani.

Ek aur tarakki karta seher najar aata hai, to doosri aur kuch log, jo bohot peeche reh gaye hain, jo apeksha ki bhet chadha diye gae hain. Inhi apekshakrat logo me se ek hai vo bujurg mahila.

Usey kuch nahi chahiye kisi se, naa usey kuch chahiye is sarkaar se, Kyunki usney to beetey 40 saalo se chaha, par kisi se kuch nahi mila. Usey matlab nahi kaun jeete- kaun haare, Usey to pata hai to bas itna kay pet ki bhook mitaane k liye vote nahi, pesa dena padta hai.

Aakhir aisa kya hai is satta ki kursi me, k jo bhi ispe beth jata hai apne dino ko bhool jata hai, aur bhool jata hai apne kiye un vaado ko, jinke poora hone ki umeed k aasre log apna vote inhe dete hain. Kya us bujurg mahila ki galti thi usney umeed ki kay pichli sarkaar na sahi, par shayad ye sarkar to mere liye kuch karegi, Aur isi umeed-umeed me uska poora jivan beet gaya. Par sada rahi to ye umeed, jo ab budhape me jawaab dene lagi hai. Bas abto jese tese karke vo apna pet paal rhi hai.

Sawaal aaj bhi vahi ka vahi hai.
Kya vakai sarkar aam janta ki hai?
Kya vakai sarkar gareebo ki bhi utni hai jitni ameero ki ?

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें